o mere sona re (teesri manzil)
Shammi kapoor and Asha parekh in Teesri manzil (1966)
sung by Mohd.Rafi and Asha bhonsle
lyrics by Majrooh sultanprui and music R.D.Burman
http://www.musicindiaonline.com/p/x/...qRS.As1NMvHdW/
video : http://www.youtube.com/watch?v=v7Md5h4ZYtQ
O mere sona re sona re sona re,
De dungi jaan juda mat hona re,
Maine tujhe zara der mein jana,
Huaa kusoor khafaa mat hona re -- (2)
O mere sona re sona re sona...
O meri bahon se nikal ke,
Tu agar mere raste se hat jayega,
To laharaake, ho balkhake,
Mera saaya tere tan se lipat jayega,
Chod ate hain kab ye armaan
Ki main bhii saath rahungi rahoge jahan,
O mere sona re sona re sona.
O miya hamse na chipao
Vo banaavat ki sari adayen liye,
Ki tum ispe ho itharaten,
Ki main pichhe hun sau iltizaan liye
Ji main khush hu mere sona
Jhooth hai kya, sach kahon naa
Ki main bhi saath rahungi rahoge jahan,
O mere sona re sona re sona.
O phir hamse na ulajh na
Nahin laat aur uljhan mein pad jayegi,
O pachataogi kuch aise
Ki ye suraki labon ki utar jayegi,
Ye sazaa tum bhool najana
Pyar ko thokar mat lagaana,
Ki chala jaunga phir main najaane kahan
O mere sona re sona re sona
dil dhoondtha hai ( mausam )
dil dhoondthA hai phir wohi pursat ke raat din..
Sanjeev kumar and Sharmila tagore in Mausam..
Bhupinder and Lata Mangeshkar..
so sweet... romantic... and .... gives the feeling that.....
its not a song.. but a beautiful poem...
http://www.youtube.com/watch?v=0TBrJ1WQX0g
Dil Dhuu.ndhataa hai phir vahii furasat ke raat din
Baithe rahe tasavvur-e-jaanaa.N kiye hue
Dil Dhuu.ndhataa hai phir vahii furasat ke raat din...
Jaa.Do.n kii narm dhuup aur aa.Ngan me.n let kar
Aa.Nkho.n pe khii.nchakar tere aa.Nchal ke saae ko
Au.ndhe pa.De rahe kabhii karavat liye hue
Dil Dhuu.ndhataa hai phir vahii furasat ke raat din...
Yaa garamiyo.n kii raat jo puravaaiyaa.N chale.n
Tha.ndii safed chaadaro.n pe jaage.n der tak
Taaro.n ko dekhate rahe.n chhat par pa.De hue
Dil Dhuu.ndhataa hai phir vahii furasat ke raat din...
Barfiilii sardiyo.n me.n kisii bhii pahaa.D par
Vaadii me.n guu.Njatii huii khaamoshiyaa.N sune.n
Aa.Nkho.n me.n bhiige bhiige se lamhe liye hue
Dil Dhuu.ndhataa hai phir vahii furasat ke raat din...